parisithiyon mein party badlna nai..balki aur nishchay swanam mein baap mein...
ye nai us samay hume apni chinta lag jaye mera kya hoga..fir dehdhariyon ki importance itni lagne lage.unka sahara lene lage..suggestion lene lage...apne bhavishya ki chinta ho jaye...sari purani duniya ki riti rasam yaad aa jaye...budape ka sahara..,bana kar rakhni hoti sabse..etc
baap ne kaha hai sabse bna kar rakho..kisi ko naras nai karo,sabko santushta karo..future ke liye sambandh aur sampatti sambhaal kar rakho.lekin kab konsi chees karni hai...yeh samajh honi chaiye na...
maan lo paristithi aai...aap us samay sambandh aur sampatti yaad karne lage..bhavishya yaad karne lage..toh ye right hai ya wrong...paristithi mein toh apne nishchaye ko aur bada dena hota hai...dehdhari se buddhi hatani hoti hai..aur hi koi saamna kare toh apne nishchay mein achal adol hona hota hai angad ke samaan..unko bhi chup kara dena hota hai..woh toh bate karenge hi..dekha...kya kia aapke bhagwaan ne...ya na bhi kahe par aapko apni tension ki lehar mein ...dukh ki lehar mein ...impatience ki lehar mein galat kadam uthane ki lehar mein kheenchenge... us samay apni authority bana kar rakhni hoti hai..bahar se bhale show na kare...ki hum alag hi aloukik riti se paitience mein nishchintta mein hai....kyunki woh aur hi chintit ,bhaiybheet ho jate hai aisa vyavhaar dekh kar...toh bahar se bhale aap karam karte dikho...par andar pakka nishchaiya rakho ki sab kuchh baba ki yaad se paar hona hai..naaki kuchh karne se.baatein control mein nai bhi aaengi bahut baar,kyunki kalyugi manushya aur kalyugi prakriti hai...vinash kale vipreet budhdhi hai...aap baap ki yaad mein rahenge apni maryada ki lakeer mein rahenge...toh aapka kuchh bigad nai sakta..
yai agar baap ko bhool jate..ulta sulta behave karne lagte kalyugi logon ki tarah..chinta..bhaiy karne lagte..hadbadi mein kadam uthate..toh baap ki touchings ,madad aani band ho jati..usi samay toh baba sabse zyada mein kheench rha hota..train kar rha hota us samay ke liye jab kuchh bhi kar nai sakenge..ghar jane ka samay hoga...aur hum wo practice ka chance khote jaenge toh hume kaise maloom chalega baap ki shaktiyon ka...baba ke kai swaroop hai jo vishesh samay par emerge karta wo...kya hum jante hai...bimari se samay..tan ki takleef ke samay ka roop...paristhiti ke samay ka roop..kisi ne kadwi baat boli...aapka khushi ka jhoola kitni zor se hilata wo..swamaan mein chadata immediate...usi samay catch karne hote wo sankalp apni budhi mein....wo gyaan sagar gyan varsha karne wala isliye hi gaya jata hai...aapne koi niswarth achha karm kia...immediate dekho baba kya anubhav karata...aapko samajh nai aa rha...ki aap kahan ja rahe hai life mein...kyunki achha bhi hota hai life mein..aur kuchh neg experience bhi aate hai..baba se poochho ..dekho wo kaise jhadi laga deta hai sakaratmak sankalpon ki..aapki mahima ki...aapke swamaan ki....kabhi aaye kuchh naya hona chaiye...ya aage kya karna hai...wo bhi bataega...wo sankalp deta hai...bas hum vishwaas rakhe ki yeh baba hi touch kar rha hai...shudh hai,shreshtha hai sankalp toh baba ka hai...bas follow kare use.aur ye sab anubhav jama karen...fir dekho kitni shakti aati hai...kitna nishchaya badta hai...